Namaj ki sunnatein -Namaj ke Fara'iz
SHARA'IT E NAMAZ
1) Badan ka Paak hona.
2) Kapde ka Paak hona.
3) Jagah ka Paak hona.
4) Satar (Naaf se Ghutne tak ka hisse) ka chupana.
5) Namaz ka Waqt hona.
6) Qiblah ki taraf munh karna.
7) Niyat karna.
NAMAZ KE FARA'IZ
1) Takbir e Tahrima yani "ALLAHU AKBAR" kehna.
2) Qiyaam yani khada hona.
3) Qira'at yani Qur'an ki 3 choti Aayaat ya 1 badi Aayat ka padhna.
4) Ruku'a karna.
5) Dono Sajde karna.
6) Qa'ada e Akhirah me Tash'hud ki miqdar baithna.
WAJIBAAT E NAMAZ
1) farz namaz ki pehli 2 rakat me or sunnat ,nafil or vitr ki har rakat me surah fatiha padhna.
2) farz ki pehli 2 rakato ko kira'at k liye khas padhna.
3) farz ki pehli 2 rakato me or dusri namazo ki har rakat me surah fatiha k saath surah ya badi ek aayat ya 3 choti aayat ka padhna
4) namaz k har arkaan ko tartib se adaa karna.
5) ruku kar k sidhe khada hona.
6) 2 sajdo k bich me bethna.
7) pehla qaidah karna ( 3 or 4 wali rakat wali namaz me 2 rakat k baad baithna.)
8) dono qaidah me attahiyyat ka padhna.
9) namaz k har rukan ko barabar itmenan se adaa karna.
10) zohar ,asar me kira'at aahishta padhna.
11) imaam ka magrib or isha ki pehli 2 rakat me or fajar ,jum'ah ,taravih, or dono eid or ramadan me vitr ki namaz me kira'at buland aawaz se padhna.
12) namaze vitr me teesri rakat k me kira'at k baad haath utha k allahu akbar keh k dua-e-kunut ka padhna.
13) dono eid ki namaz me 6 ziyadah takbire kehna.
14) assalamu alaykum keh ka salam karna.
Comments
Post a Comment