Islamic Baaten : Raat Ko Nakhun Katna


Raat ko nakhun nahi katna chahiye ye bhi bat bahut sare musalmano ke beech fail chuki hai. Aur musalman ghumarahi me mubatala hote ja rahe hai. Agar rat ko nakhun katoge to aisa ho jayega waisa ho jayega. Yahan tak ki kuch log to ilm ki kami ke wajah se yahan tak bhi bol dete hai ki raat ko nakhun nahi katna chahiye aisa hadees me hai. Yaad rakhiye agar jo bat hadees me nahi hai aur hum sirf sun ke uska taluk hadees se jodte hai to hum Allah ke giraft me hai. Hame aise baton se bachna chahiye. Bahut sare ibadat me se ye bhi ek aam ibadat hamare dilo dimag me bas chuki hai aur hum aur aap aise ibadatonse ghirte chale jaa rahe hai. Ye sab ilm ki kami se hai.




Nakhun raat ko kate ya din me koe farak nahi padata. Ye bat aur hai ki nakhun koNakhun raat ko kate ya din me koe farak nahi padata. Ye bat aur hai ki nakhun ko bada nahi karna chahiye kum se kum hafate me ek bar jaroor kat lena chahiye. Ek hafte me nakhun ka katna mustahab hai. Aaj ke daur me nakhun badhana faision ban gaya hai aur hum sab ko dukh hona chahiye ki aise faision me musalman bhi fas chuke hai. Nakhun ko bada karna ghunah hai aur hum musalmano ko ghunah se bachana chahiye.
To pata ye chala din ho ya raat subah ho ya sham nakhun kat sakten hai nakhun katna nek kam hai aur nek kam me der nahi karna chahiye. Ek bat yaad rakhe aur wo ye hai ki hafte me sirf ek din Wednesday yani Budh ke din nakhun nahi katna chahiye baki kisi bhi din kisi bhi waqt aap nakhun kat saken hai yahi hadis shareef hai.
Wednesday Budh ke din nakhun nahi katna hadees me jahiful hadees hai. Lihazabehater ye hai ki budh ke din nakhun na kate baki aur kisi din kat sakten hai. Han agar hum aur din nakhun katna bhul gaye aur nakhun bade ho chuke hai to aap budh ko bhi nakhun kat sakten hai. Budh ke din nakhun katna ghunah na hoga Q ke ye jahiful hadees hai. Agar nakhun jayada bade na ho aur agar aap ruk sakte hai to behter ye hai ki bhudh ke din chhod ke koi bhi dusre din ho ya raat aap nakhun ko kat len.
Hadeese pak hai tum Allah se jaisa ghuman karte ho Allah tumhare santh waisa hi karta hai”
Isliye hame chahiye aisi baton se bache jiska koi matlab nahi. Nafa ya nuksan pahunchane wala Allah ke siwa koi nahi.
Allah hum sab ko aisi ghumrahi se bachaye ameen.

Comments

Popular posts from this blog

Difference between Deeni Taleem and Dunyavi Taleem

Sunnat of the guest hospitality - Taking care of guests is also a Sunnat