Pyare Nabi Ki Pyari Baatein



Hazrat Abu Huraira ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Ka Bayan Hai, k
Allah Ke Rasool ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  )Ne Farmaya,


"Allah Paak Ne Apne Farishto Ko Hukm Diya Hai,

Jab Mera Banda Kisi Gunaha Ka irada Kare,

to Uske Aamaal Name Me Gunah Na Likhe,

Agar Wo Gunah Kar Le To Ek Gunah Likhe
aur Jab Mera Koi Banda Kisi Nek Kaam Karne Ka Irada Kare
Lekin Kar Na Sake To Bhi Uske Aamaal Naame Me Ek Naiki Likh De,
Aur Agar Wo Naik Kaam Kar Le To Uske Aamaal Name Me 10 Nekiyan Likh De. "





 Chheenk Aane Par

ALHAMDULILLAH

Kahta Hai,

To Farishtey
RABBIL AALAMEEN
Kah kar Uski Baat Puri kar Dete Hain,
or Agar Wo
ALHAMDULILLAH RABBIL AALAMEEN
Kahta Hai To Uske Jawab Me
YARAHKUMULLAH
Kahete Hain.



Salaam Karne K Baad Khush Dili Se

 Musafa Karne Walo K Gunah Aise Jhadte Hain,
Jaise Sukhey Patte Pedh (Darakht) Se Jhad Jaya Karte Hain.

Salaam Karne Me Pahel Karne Wala,
Rahemate Elahi Ka jyada Haqdaar Hota Hai.




 Achchhi Awaz Me Quran Ki Tilawat Kro,

Uski Baato Pr Gaur Aur Amal Karo,
Taaki Tumhe Kamyabi Mile.



Kisi Aurat Ke Sath Tanhayi Me Na Baitho,

Q Ki,

Wahan Teesra Shaitaan Hota Hai.



 Baaye (Left) Hath Se Khana-Pina Shaitaan Ka Tarika Hai.

Tumhe Maloom Nahi Ki Plate Me Rakhe Khane Ke Kis Daane Me Barkat Hai,
isliye Plate Ko Ungli Se Saaf Kar Liya Kro.




Comments

Popular posts from this blog

Difference between Deeni Taleem and Dunyavi Taleem

Islamic Baaten : Raat Ko Nakhun Katna

Sunnat of the guest hospitality - Taking care of guests is also a Sunnat