Islamic Baaten : Raat Ko Nakhun Katna

Raat ko nakhun nahi katna chahiye ye bhi bat bahut sare musalmano ke beech fail chuki hai. Aur musalman ghumarahi me mubatala hote ja rahe hai. Agar rat ko nakhun katoge to aisa ho jayega waisa ho jayega. Yahan tak ki kuch log to ilm ki kami ke wajah se yahan tak bhi bol dete hai ki raat ko nakhun nahi katna chahiye aisa hadees me hai. Yaad rakhiye agar jo bat hadees me nahi hai aur hum sirf sun ke uska taluk hadees se jodte hai to hum Allah ke giraft me hai. Hame aise baton se bachna chahiye. Bahut sare ibadat me se ye bhi ek aam ibadat hamare dilo dimag me bas chuki hai aur hum aur aap aise ibadatonse ghirte chale jaa rahe hai. Ye sab ilm ki kami se hai. Nakhun raat ko kate ya din me koe farak nahi padata. Ye bat aur hai ki nakhun ko Nakhun raat ko kate ya din me koe farak nahi padata. Ye bat aur hai ki nakhun ko bada nahi karna chahiye kum se kum hafate me ek bar jaroor kat lena chahiye. Ek hafte me nakhun ka katna mustahab hai. Aaj ke daur me nakhun badhana faision b...